Friday, 22 August 2014

Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay

Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay





Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay

doori mein to ho nahi sakta jo aapas me hona hay



woh aaya to saray maosam badlay badlay lagtay hen

ya kanton ki saij bichhi thi ya pholon ka bichhona hay



Abhi to khushk bohat hay maosam barish ho to sochen gay

ham nay apnay armanon ko kis mitti me bona hay



Kanch ki gurdyan taaq me kab tak aap sajaen gay

aaj nahi to kal tootay ga jis ka naam khilona hay



Barday barday daway hen lekin chotay chotay qad Shehzad

phankni hay kuch khaak in ko kuch pani inhen balona hay

No comments:

Post a Comment