Kathan safar hai mohbaton ka sarab rasty hain soch lenaWo chhor jaty hain ik qadam pr jo sath chalty hain soch lena
Ye reet tum na nibah sako gay na sang rehney ki baat karnaK ishq walon ki rahguzar mein azab miltey hain soch lena
Tumhen kaha tha, bana k apna fareeb deta ha ye zamanaTumhen kaha tha k asteeno mein saanp palty hain soch lena
Wo aik basti jahan py hum tum mily thay mil k bichhr gaeyWahan py ab bhe meri wafa k charagh jalty hain soch lena
No comments:
Post a Comment