Tuesday 5 August 2014

Kabhi nazrain milanay main zamanay beet jatay hain


Kabhi nazrain milanay mainzamanay beet jatay hain

Kabhi nazrain churanay main
zamanay beet jatay hain

Kisi nay aankh bhi kholi to
soonay ke nagrii main

Kisi ko gher bananay main
zamanay beet jatay hain

Kabhi kaali siyah raatain
humain ek pal ke lagti hain

Kabhi ek pal bitanay main
zamanay beet jatay hain…!!

No comments:

Post a Comment