Iss par bhi daikha uss par bhi daikha
Iss par bhi daikha, uss par bhi daikha
Mohabbat kahen bhi nahin, dunia ko azma k bhi daikha
Karte hain nafrat jahan bhar k log
Tere sheher k koche me aa k bhi daikha
Mafad k andheron me sub jakare hoe hain log
Nazar k deyyon ko hum ne jala k bhi daikha
Samjha nahin koi bhi hamare dard ki shidat ko
Har aik ko hal-e-dil suna k bhi daikha
Bharte nahin hain zakham hamare kisi bhi tarah se
Apni ankh ka har anso hum ne gira k bhi daikha
Kharida nahin hum ko kisi ne bhi nilami me
Khod ko sar-e-bazar pesh kar k bhi daikha
Bholate nahin ho tum , humen zindagi k safar me
Dar-e-hijar me kai bar bhola k bhi daikha
Ata nahin hai wapis ,kabhi beta hoa zamana
Lamhat ki dor ko wapis ghoma k bhi daikha
Ate nahin ho kabhi bhi hamare khawabon me
Ankhon ki nagari ne tujh ko bola k bhi daikha
Bhola nahin pate hain tujh ko kisi bhi tarah se
Ghairon ko pehlo me, bitha k bhi daikha
Chorati nahin hain pecha teri batakati hoi yadain
Tere shehr-e-ashwab ko chor k bhi daikha
Kash wo rok jati ,aik pal k liye to
Mohabbat k waste us ko de k bhi daikha
No comments:
Post a Comment