Friday, 22 August 2014

Hum to bethay thay rah guzar mein gum

Hum to bethay thay rah guzar mein gum





Hum to bethay thay rah guzar mein gum

qaflay ho gayay ghubar mein gum



Aek paiman shikan say kia shikwa

ham rahay apnay atbar mein gum



Jab talak aayna muqabil tha

uski aankhen rahin khumar mein gum



Ham say mat pooch kab ruten badlin

ham rahay uskay intizar mein gum



Phir tray pairhan ki yaad aai

phir howay ham bhari bahar mein gum



Kia khabar kab hoi hay yaad us ki

dil kay ujrday howay dayar mein gum



Kinay yaaron kay karwan Mohsin

ho gayay gard e rozgar mein gum

No comments:

Post a Comment