Saturday 9 August 2014

hamein waqt ranjo malaal kia jo guzar gaya so guzar gaya

hamein waqt ranjo malaal kia jo guzar gaya so guzar gaya 
usay yad kar k na dil dukha jo guzar gaya so guzargaya
na gila kia na khafa howay yonhi rastay main fida howay
na too bewafa na main bewafa jo guzar gaya so guzar gaya
wo ghazal ki ek kitab thi,wo gulon main ek gulab thi
zara dair ka ek khab tha jo guzar gaya so guzar gaya
mujhay pat jharon ki kahanian na suna suna k udas kar
too khizan ka phool hay muskura jo guazar gaya so guzar gaya
wo udas dhoop samait kar kahin wadion main utar chuka
usay ab na day merey dil sada jo guzar gaya so guzar gaya
wo wafain thi k jafain thien,yeh na souch kis ki khakatain thien
wo tera hay os ko galay laga jo guzar gaya so guzar gaya
tujhay etabar o yaqeen nahin dunia itni buri nahain 
na malal kar merey sath aa jo guzar gaya so guzar gaya 

No comments:

Post a Comment