Saturday, 16 August 2014

Ghum-gashta mohabbat k khwabon ki tarah hai

Ghum-gashta mohabbat k khwabon ki tarah hai



Ghum-gashta mohabbat k khwabon ki tarah hai
Woh rooh k sehra mein sarabon ki tarah hai

Wo zeest k maktab mein nisabon ki tarah hai
Parhta hoon usse roz, kitabon ki tarah hai

Ab un se khayalon mein hii ho jatii hien baatien
Gou beech mein parda sa hijabon ki tarah hai

Us shaks k lehjay mein sheeshay ki khanak hai
Rug rug mein uterta hai, sharabon ki tarah hai

Us shaks k paikar mein hai shaakhon ki lachak si
Us shaks ka chehra bhee gulabon ki tarah hai

No comments:

Post a Comment