Thursday, 21 August 2014

Dil ka aalam kabhi yun bataya nahi

Dil ka aalam kabhi yun bataya nahi



Dil ka aalam kabhi yun bataya nahi

Mukhtasir tha fasana sunaya nahi



Raat phir chaand se guftagu jo rehi

Dair tak woh nasha phir bhulaya nahi



Rait par likh diya lafz ik jo wafa

Dair tak phir hawa ko jagaya nahi



Ik tamasha raha sahiloN ki taraf

Dobati naao ne kiyuN bataya nahi



Qais ne jo kehi ik ghazal khuwab may

Neend ney par kisi ko bataya nahi

No comments:

Post a Comment