Dhoop ke saath gayaa saath nibhaane waalaa
Dhoop ke saath gayaa saath nibhaane waalaa
ab kahaa.N aayegaa vo lauT ke aane
waalaa
ret par chho.D gayaa naqsh hazaaro.n apane
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane
waalaa
sabz shaaKhe.n kabhii aise to nahii.n chiiKhatii hai.n
kaun aayaa hai parindo.n ko Daraane
waalaa
aariz-e-shaam kii surKhii ne kiyaa faash use
pardaa-e-abr me.n thaa aag lagaane
waalaa
safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tuufaan hai aane
waalaa
mujh ko dar_pardaa sunaataa rahaa qissaa apanaa
agale vaqto.n kii hikaayaat sunaane
waalaa
shabanamii ghaas ghane phuul larazatii kirane.n
kaun aayaa hai Khazaano.n ko luTaane
waalaa
ab to aaraam kare.n sochatii aa.Nkhe.n meri
raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane
waalaa
No comments:
Post a Comment