Thursday, 21 August 2014

Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai

Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai



Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai

Rat kisi ki yaad mein guzar jaye to kya hota hai



Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hai

Jab koi dil mein utar jaye to kya hota hai



Mere Allah tu faqt itna bata de usko

Admi jeete ji mar jaye to kya hota hai



Koi anjan se shaks ka kisi pichle pehar

Aks ankhon mein thehr jaye tu kya hota hai



Dard de k mujhe wo hansta raha or bola

Dard jab had se guzar jaye tu kya hota hai…

No comments:

Post a Comment