Wednesday 13 August 2014

chalo hum farz kartay hain

chalo hum farz kartay hain

chalo hum farz kartay hain

chalo hum farz kartay hain

wohi batain jo duniya main nahi hoti

chalo hum farz kartay hain

kay har suu noor phaila hai

na din main chaya sunnata

na raaton main andhera hai

na suraj shab main sota hain

na din main chand khota hai

hai har dil roshni say pur

aur aankhon main ujalay hain



chalo hum farz kartay hain

kay har mosam baharan hai

khizaab main phool khiltay hain

nigahain rag say mahati hain

guloon ki khushbuoon say

sab nizaray muattar hain

parinday chahchatay hain

khushi kay geet gatay hai



chalo hum farz kartay hain

kay har dil main muhabbat hai

kaheen jaghray nahi hotay

na barish dukh ki hoti hai

na aandhi gham ki chalti hai

na nafrat phaans banti hai

hain sabhi chehron pe muskanain

kaheen jaghray nahi hotay



chalo hum farz kartay hain

kay gham khushion say bahtar hain



chalo humfarz kartay hain

ye duniya tum say bahtar hai



zara tahro.....!!!!!!!!



magar hum farz kiyun kar lain

yakeen mujh ko batata hai

hakeekat to hakeekat hai

main sab kuch jaan sakta hoon

na suraj shab main chamkay ga

na din main chand niklay ga

khizan main gul nahi khiltay

ye nafrat mar nahi sakti

na gham khushiyon say bahtar hain

na duniya tum say bahtar hai

hai duniya ki hakeekat kia

fakat aik tum hi achay ho

jahano say zamano say

maknoon la maknoon say

ye sab kuch hai wohi jo

isi duniya main hota hai

to phir hum farz kiyun kar lain

fakat ik tum hi achay ho......


No comments:

Post a Comment