Wednesday 13 August 2014

chalo ham maan letay hain


chalo ham maan letay hain

 
chalo ham maan letay hain

tumhain ham kho chukay

laken



tumhari yaad ab tak bhi

hamain betab rakthi hai

hamari saans ab tak bhi

tumhari aas rakhti hai



magar ab yeh bhi sunte hain



tumhari rah roshan hai

tumhain mil jaye ga koi

magar afsos



ham jaisa...............





agar pao,

kahin tum to

mujhe do haraf likh dena





kay





MANZIL MIL GAYI MUJHKO!!!!

No comments:

Post a Comment