Buht Farsoda lagty hain mujy ab yar k Qisay,
Gul-o-gulzar ki bataien Lab-o-Rukhsar k Qisay,
yahan sb k Muqadr Mein fqat zkhm-e-judai hai,
Sbi jhotay fsanay hain Wisal-e-yar k Qisay,
Bhla ishq-o-Muhbt sy ksi ka pait bhrta hai,
Suno tmko sunata hun main kar-o-bar k Qisay,
Mery ehbab kehty hain yahi ik aib hai muj mein,
sar-e-dewar likhta hon pas-e-dewar k Qisay,
Main aksr esliye logon sy ja k nai milta
wohi beqar ki bataien wohi beqar k Qisay.
No comments:
Post a Comment