Wednesday 6 August 2014

Bohat khamosh reh kr wo sadain mujhko deta tha


Bohat khamosh reh kr wo sadain mujko deta thabary barpoor jazbon ki qabain mujko deta tha


Kabhi jo dard ki aatish muje sulagnay lagti the
wo apne saans ki mehki hawain mujko deta tha

Wo uski chahtain b sari duniya se anokhi the
reazat khud wo krta tha jazain mujko deta tha

Mery ehsas k sahraon main jo dhoop barti the
wo mosam ka khuda ban kr ghatain mujko deta tha

Usy main ajnabi smjhi magar har mour pe
wo apny naam ki sari duain mujko deta tha

No comments:

Post a Comment