Bethay hein sunehri kashti mein aur samney neela pani hai
Bethay hein sunehri kashti mein aur samney neela pani hai
Wo hansti ankhein pocchti hein kitna gehra pani
hai
Be-Taab hawa key jhonkon ki faryaad suney tu kaun suney
Mojon pe tarpti kashti hey aur goonga behra paani
hai
Basti key gharon ko kaya dekhay Bunyaad ki hurmat kaya jaaney
Selaab ka shikwa kaun karay ,Selaab tu andda Pani
hai
Yeh Raaz samaj mein kaab aata,Ankhon ki nami samja hon
Iss Gard-o-Ghubar ki dunia mein her cheez se sacha Pani
hai
No comments:
Post a Comment