Saturday 16 August 2014

Be wafa koi nahi hai Ba wafa koi Nahi

Be wafa koi nahi hai Ba wafa koi Nahi



Be wafa koi nahi hai Ba wafa koi  Nahi


Aashqi aur husn meiN ab waasta koi
Nahi



Ishq Bhi Sood-o ZiyaaN ko dekh ker hota hay ab
Ter ker kachey gharey per doobta Koi  Nahi



Log HaiN Bey mehr ya rasm-e gadaai na rahi
shehr ki galiyon mein jaaney kyuN gadaa koi
Nahi


Na rasaai ka wo aalam hay ke ehl-e derd ke
Haath Phailey haiN magar lab pe dua koi
Nahi


Tangiy-e haalat meiN kaisey badal jaatey haiN log
 Jaantey haiN sab magar pehchaanta koi Nahi

Bik gayee gherat watan ki kab kisi bazaar meiN
dukhtar-e millat ke ser pe kyuN ridaa koi
Nahi



Dhar khanjar ki shansa, teer bhi maanoos sey
haiN sabhi apney yahaN per doosra koi
Nahi


Dekh ker zulm-o sitam nazreN chura letey haiN log
sab zubaaN rakhtey haiN lekin Bolta Koi
Nahi



Kha gaya dil ko jigar ko reza reza ker gaya
derd aisa hay Qamar jis ki dawa koi
Nahi

No comments:

Post a Comment