Monday, 18 August 2014

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak



Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak

Kaun Jitaa Hai Ter Zulf Ke Sar Hone Tak



Daam Har Mauj Men Hai Halqaa-E-Sad_Kaam-E-Nahang

Dekhen Kya Guzare Hai Qatare Pe Gauhar Hone Tak



Aashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betaab

Dil Ka Kya Rang Karun Khun-E-Jigar Hone Tak



Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin

Khaak Ho Jaayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak



Partav-E-Khuur Se Hai Shabanam Ko Fanaa Kii Taalim

Main Bhi Hoon Ek Inaayat Ki Nazar Hone Tak



Yak_Nazar Besh Nahin Fursat-E-Hasti Gaafil

Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Hone Tak



Gam-E-Hasti Kaa‘Asad’Kis Se Ho Juz Marg ilaaj

Shammaa Har Rang Mein Jalati Hai Sahar Hone Tak

No comments:

Post a Comment