Wednesday 30 July 2014

Zarre Zarre Mai Tera Aks Nazar aata Hai

Zarre Zarre Mai Tera Aks Nazar Aata Hai
Rasta Dekhte Rehna Bi Ab Asan Na Rha

Ratain Roti Hain K Wo Chand Na Ubra Ab Tak
Din Bilakte Hain K Wo Mehr Drakhsan Na Rha

Pard-e Arz-o Sama Ka Ye Tkluf Kesa
In Hijabon Mai Tu Jalwa Tera Pinha Na Raha

Tuj Se Ik Aas Lgai Thi Par Ae Jan-e Nadeem
Ye Dia Bi Mere Sene Mai Frozan Na Rha

No comments:

Post a Comment