Wednesday 30 July 2014

Woh koi Aur Na Tha, Chand Khusk pattey They

Wo Koi Aur Na Tha, Chand Khusk Patay Thay
Shajar Se Toot Ke Jo Fasal-e Gul Pe Roye Thay

Abi Abi Tumhain Socha Tu Kuch Na Yaad Aya
Abi Abi Tu Ham Aik Dosre Se Bichre Thay

Tumhare Baad Chaman Par Jab Ik Nazar Dali
Kali Kali Mai Khazan Ke Chiragh Jalte Thay

Tmam Umar Wafa Ke Gunahgar Rahe
Ye Aur Baat Ke Ham Aadmi Tu Ache Thay

Shab-e Khamosh Ko Tanhai Ne Zuban De Di
Phar Gonjte Thay Dashat Sansnate Thay

Wo Aik Bar Mary Jin Ko Tha Hayat Se Pyar
Jo Zindagi Se Graizan Thay Roz Marte Thay

Naye Khayal Ab Aate Hai Dhal Ke Zahan Mein
Hmare Dil Mai Kabi Khait Lehlhate Thay

Ye Irtiqa Ka Chalan Hai K Har Zmane Mein
Purane Log Naye Admi Se Darte Thay

Nadeem Jo Bi Mulaqat Thi Adhori Thi
K Aik Chehray Ke Peche Hzar Chehray Thay

No comments:

Post a Comment