Monday 14 July 2014

Waqt ka yeh Parida ruka hai kahan ? (Song)

Waqt ka yeh parida ruka hy kahan?...!<
+
Main tha pagal jo is ko bulata raha....!<
+
Char paise kamane main aaya sheher...!<
+
Gaoon mera mujhe yaad aata raha....!<
+
Lout ta tha jub pathshala se ghur...!<
+
Apne hathon se khana khelati thi maa....!<
+
Raat mein apni mamta k anchal taley...!<
+
Thap'keaan de K Mujh ko sulati thi maa....!<
+
Soch k Dil main ek tees uthti rahi...!<
+
Raat bhar dard mujh ko jagata raha....!<
+
Char pease kamane main aaya sheher...!<
+
Gaoon mera mujhe yaad ata raha....!<
+
Sab ki ankhon main ansoo jhulk aaye they...!<
+
Jab rawana howa tha sheher K leya....!<
+
Kuch ne mangi duwain K main khush rahon...!<
+
kuch ne mazaron main ja k jalaye deeya....!<
+
Ek din main banoon ga baraha Aadami...!<
+
Yeh tasawar onhain gud'guda'ta raha...!<
+
'*'
Char pease kamane main aaya shehar...!<
+
Gaoon mera mujhe yaad ata raha....!<
+
Maa yeh likhti hy har bar khut main mujhe...!<
+
Lout aa mere betay tujhe hy qasam....!<
+
Tu gaya jab se pardais main be'chain hon...!<
+
Neend aati nahi bhok lagti hy kam....!<
+
Kitna chaha na rooun muger kaya kuron?...!<
+
Khaat meri maa ka mujh ko rulata raha....!<
+
Char pease kamane main aaya sheher...!<
+
Gaoon mera mujha yaad aata raha...!<

No comments:

Post a Comment