Sunday 6 July 2014

Agarcha main ek chatan sa aadmi hun By Mohsin Naqvi

Agarcha main ek chatan sa aadmi hun...!<
+
Magar tere bad hosle hy K jee raha hun...!<
+
Wo reza reza mere badan main utar raha hy...!<
+
Main qatra qatra ussi ki Aankhon ko pe raha hun...!<
+
Teri hatheli pe kis ne likha hy qatal mera?...!<
+
Mujhay to lagta hy main tera dost B raha hun...!<
+
Khuli hy ankhen magar badan hy tamaam pathar...!<
+
Koi batae main mar chuka hun K jee raha hun...!<
+
Kahan mile gi misaal meri sitamgari ki...!<
+
K main gulaboon K zakham kanton se see raha hun...!<
+
Na pooch mujh se K shaher waloon ka haal kia tha?...!<
+
K main to khud apne ghar main B do ghari raha hun...!<
+
Mila to betay dinoo ka sach is ki aankh main tha...!<
+
Wo Aashna jis se muddatoon ajnabi raha hun...!<
+
Bhula de mujh ko K bewafai baja hy lekin...!<
+
Ganwa na mujh ko K main teri zindagi raha hun...!<
+
Wo ajnabi ban K ab milay B to kia hy *MOHSIN*...!<
+
Ye naaz kam hy K main B is ka kabhi raha hun...!<
+

No comments:

Post a Comment