Showing posts with label Titli ki Tarha Rung e par Aziz to Rakhta. Show all posts
Showing posts with label Titli ki Tarha Rung e par Aziz to Rakhta. Show all posts

Wednesday, 16 July 2014

Titli Ki tarha Rung E Par, Aziz tou Rakhta By Razab Tabraiz

(Poet: Razab Tabraiz) 



Titli ki tarha Rung E Par Aziz to Rakhta




Titli ki Tarah Rung e Par, Aziz to Rakhta
Gul Noch leta, Thori si Tamiz to Rakhta


Jate hue jo Mere Sukhan Bech gya hai
Kuch aur Na rkhta, Magr ye Cheez to rkhta


Ae Nafs ! Tujhe iShq ne Yaksar kiya Kharab
Daman ko karta Chaak, Par Kameez to rakhta?


Us DilNasheen k Dil se Yehi aik Gila hai
Na Takht o Taaj Deta, Par Hafeez to rkhta


Dunya k Mu me hoti sirf Khaak, Faqat Khaak
Kuch Raaz k Pardon ko Wo Dabeez to rakhta


Pyalay ki Jagah Lab ka Bharam Mujhko Dikhata
Koi aur Na rakhta, Magar !  NaChiz to rakhta


Main Mom ho Chala tha, Agar apni Baat ko
Wo ToOl De k, Thora sa Areez to Rakhta


Mere YasoOh ka Zarf bhi Hota Na Daghdaar
Karta Na Dwa, Na sahi, Mariz To rkhta


2,1 Ramz, Tu bhi Agar Janta RAZAB
Main Tera laQab Shoq se, Ramiz to Rakhta.