Ayen Hath Uthayen Ham Bi
Ham Jinhain Rasm-e Dua Yaad Nahi
Ham Jinhain Soze Mohabat Ke Siwa
Ham Jinhain But, Koi Khuda Yaad Nahi
Ayen Arz Guzarain K Nigar Hasti
Zuhr Amroz Mai Sherini Farda Bhar De
Wo Jinhain Naab-e Giran Bari Iyam Nahi
Un Ki Palkon Pe Shab o Roz Ko Halka Kar De
Jin Ke Aankhon Ko Rukhe Subah K Yara Bi nahi
Un Ki Raaton Mai Koi Shma Munwar Kar De
Jin Ke Qadmon Ko Kisi Ro Ka Sahara Bi Nahi
Un Ki Nazron Pe Koi Rah Ujagar Kar De
Jin Ka Deen Perwi Kzb o Rya Hai Un Ko
Himat Kufr Milay Jurat Tahqeq Milay
Jin Ke Sir Muntazir Taigh-e Jafa Hai Un Ko
Dast-e Qatal Ko Jtak Dene Ki Tofeeq Milay
Ishq Ka Sar-e Niha Jan-e Tipan Hai Jis Se
Aaj Iqrar Karain Aur Tapash Mit Jaye
Harf-e Haq Dil Mai Khatakta Hai Jo Kantay Ki Tarah
Aaj Izhar Krain Aur Khalash Mit Jaye
( Poet: Faiz Ahmad Faiz )