Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts

Wednesday, 6 August 2014

Wohi Raaton Ki Bedari Hai Ab Tak,


Wohi Raaton Ki Bedari Hai Ab Tak,

Tamanna Ka Safar Jari Hai Ab Tak,

Khayal-E-Zabt Or Tark-E-Talluq,

Yahi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akelay Chandni Raton Main Dil Ko,

Sulag Uthnay Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichlay Dinon Jo Hum Pe Guzri,

Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Badan Se Ho K Jo Roohon Mein Utri,

Usi Qurbat Ki Sarshari Hai Ab Tak,

Chaman Se Kar To Loon 

Hijrat Main "FARAZ"

Parindon Se Meri Yari Hai Ab Tak. .*

Din Ko Mismaar Huwe Raat Ko Tameer Huwe Khwab Hi Khwab Faqt Rooh Ki Jageer Huwe


Din Ko Mismaar Huwe Raat Ko Tameer Huwe

Khwab Hi Khwab Faqt Rooh Ki Jageer Huwe

Umar Bhar Likhty Rahy Phir B Warq Saada Raha

Janay Kya Lafz Thay Jo Hum Se Na Tehreer Huwe

Ye Alag Dukh Hy K Hain Tery Dukhon Se Azad,

Ye Alag Qaid Hy Hum Kyun Nahi Zanjeer Huwe

Deeda O Dil Mein Tery Aks Ki Tashkeel Se Hum

Dhool Se Phool Huwe Rung Se Tasveer Huwe

Kuch Nahi Yaad K Shab-E- Raqs Ki Mehfil Mein,

fAraZ

Hum Juda Kis Se Huwe Kis Se Baghal Geer Huwe. .*
rks

Tuesday, 29 July 2014

Zindagi Se Hum Kuch Udhar Nahi Lete Faraz

Zindagi se ham kuch udhar nahi lete faraz



Kafan bi latey hain to zindagi day kar

arz, jawaab E Arz, By Mirza Ghaliz, Allama Iqbal, Ahmad Faraz,

Mirza Ghalib

Zahid shrab pene de masjid main beth kar
ya phir wo jaga bta jahan khuda nahi

Allama Iqbal

Masjid khuda ka ghar hai pene ki jagah nahi
kafar ke dil main ja wahan khuda nahi

Ahmad Faraz

Kafar ke dis se aya hoon main ye dekh ke
Khuda mojud he wahan par usay pta nahi

Younhi Mosam ki Adaa Dekh K Yaad Ayaa Hai

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai



Kis kadar jald badal jate hain insan janaan

Bikhar Rahe Hain Meri Zindagi Ke Tamam Warq

Bikhar rahe hain meri zindagi key tmam wark

Na jane kab koi aandhi ura ke le jaye

Main  kab tak dosron ke dukh sambhan ka rakhon faraz

Jis jis ke hain nishani bta ke le jaye

Ab kiun Roshni Se Dartey Ho Faraz

Ab kun roshni se darte ho faraz




Tum to kehte thay muje chand chahiye

Tere Charche Hain Jafaa Se Teri

تیرے چرچے ہیں جفا سے تیری
لوگ مر جائیں بلا سے تیری

کوئی نسبت کبھی اے جانِ سخن
کسی محرومِ نوا سے تیری

اے میرے ابرِ گریزان کب تک
راہ تکتے رہیں پیاسے تیرے

تیرے مقتل بھی ہمیں سے آباد
ہم بھی زندہ ہیں دعا سے تیری

تو بھی نادم ہے زمانے سے ‘فراز‘
وہ بھی ناخوش ہیں وفا سے تیری

Tamam Umar Ussi Ke Khayal mein Guzri Faraz

Tamam umar usi ke khayal main guzri faraz




Mera khayal jisy umar bhar nahi aya

Uss Se Milne ko Kabhi Hum jo Machal Jatey Hain

Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain
To Khayalon Mein Bohat Door Nikal Jate Hain

Gar muhabat main sidaqat bi ho shidat bi
Phir to ihsaas hai pathar bi pighal jate hain

Us ki aankhon ke nashe main hoon jab se dooba
Larkharate hain qadam sambhal jate hain

Bewafa ka jab bi muje khyal aata hai
Ishk aankhon se rukhsar bi pigal jate hain

Pyar main aik hi mosam hai baharon ka faraz
Log mosam ki tarah kese badal jate hain

Mohabbat kar Sakte ho tou Khuda Se karo Faraz

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo Faraz



Mitti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti

Suna Hai Zindagi Imtihan Leti Hai Faraz

Suna Hai Zindagi Imtihan Leti Hai Faraz




Par Yahan Tu Imtihanon Ne Zindagi Le Li

Yeh Kana'at Hai Itayat Hai Keh Chahat Hai Faraz

Ye Kana'at Hai Itayat Hai Keh Chahat Hai Faraz



Hum Tu Raazi Hain Wo Jis Hal Main Jesa Rakhe

Muhabbat Ke Baad Muhabbat Mumkin Hai Faraz

Muhabat Ke Bad Muhabat Mumkin Hai Faraz



Par Toot Ke Chahna Sirf Aik Bar Hota Hai

Doobtey Doobtey Kashti Ko Uchala De Doon


Doobtay Doobtay Kashti Ko Uchala De Doon
Main Nahi Koi Tu Sahal Par Utar Jaye Ga

Zabt Lazim Hai Magr Dukh Hai Qayamat Ka Faraz
Zalim Ab Ke Bi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga

Kab Kon kisi ka Hota Hai

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sab Jhote Rishte Naate Hain

Sab Dil Rakhne Ki Batain Hain
Sab Asli Roop Chupate Hain

Ikhlas Se Khali Log Yahan
Lafzon Ke Teer Chalate Hain

Ik Bar Nigahon Main A Kar
Phir Sari Umar Rulate Hain

Chalo Aaj Jis Ne Dukh Dia Faraz
Aaj Us Ko Bhol Jate Hain

Hum Chiraghon Ko tou Tareeki Se Larna Hai Faraz

Ham Chiraghon Ko Tu Tareeki Se Larna Hai Faraz




Gul hoye Par Subah Ke Aasar Ban Jayen Gay Ham

Main Shab Ka Bi Mujrim Hoon Sehr Ka Bi Hoon Mujrim

Main Shab Ka Bi Mujrim Hoon Sehr Ka Bi Hoon Mujrim




Yaroo Muje Is Shehr Ke Aadab Sikha Do

Mere Sabr ki Inteha Kia Poochte ho Faraz

Mere Sabr Ki Intiha Kia Pochte Ho Faraz




Wo Muj Se Lipat Ke Roya Kisi Aur Ke Liye

Wo Zindagi ho ke Dunya Faraz Kia ki Jiye

Wo Zindagi Ho Ke Dunya Faraz Kia Ki jiye



Keh Jis Se Ishq Kro Bewafa Nikalti Hai