Showing posts with label Ahmad Nadeem Qasmi. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Nadeem Qasmi. Show all posts

Wednesday, 30 July 2014

Khuda kare k meri Arz e Pak par Utre

Khuda kare ke meri arz-e-pak par utre,
Woh fasal-e-gul jise andesha-e-zawal na ho

Yahan jo phool khilay wo khila rahe sahayon
Yahan khazan ko guzarne ki bi majal na ho

Ghani ghtayen yahan aesi barishain barsayain
Ke pathron se bi roedgi mahal na ho

Khuda kare ka na kham ho sar-e waqar-e-watan
Aur is ke husn ko tashwesh-e maho sal na ho

Aik fard ho tahzeeb-0-fan ka ooj kamal
Koi malwal na ho koi khasta hal na ho

Khuda kare ke mere aik bi ham watan ke liye
Hayat jurm na ho zindagi wabal na ho…

Firdoos E jannat mein Laakh Hoor'on ka Tassavar Sahi

Firdoos-e-jannat main lakh horoon ka tasvar sahi




Main ik shakhs ke ishq se niklon to wahan tak sochoon

Ussey mein ne Dekha

Usay Main Ne Dekha

Tu Socha, Keh Ab Chand Ne

Apne Suraj Se

Lu Mangna Chor Di Hai

By Ahmad Nadeem Qasmi

Zarre Zarre Mai Tera Aks Nazar aata Hai

Zarre Zarre Mai Tera Aks Nazar Aata Hai
Rasta Dekhte Rehna Bi Ab Asan Na Rha

Ratain Roti Hain K Wo Chand Na Ubra Ab Tak
Din Bilakte Hain K Wo Mehr Drakhsan Na Rha

Pard-e Arz-o Sama Ka Ye Tkluf Kesa
In Hijabon Mai Tu Jalwa Tera Pinha Na Raha

Tuj Se Ik Aas Lgai Thi Par Ae Jan-e Nadeem
Ye Dia Bi Mere Sene Mai Frozan Na Rha

Jab Tera Hukam Mila Tark e Mohabbat Kar Di

Intikhaab-E-Sukhan.blogspot.com

Jab Tera Hukm Mila Tark-e Mohabat Kar Di
Dil Mgar Is Pe Wo Dharka Ke Qyamat Kar Di

Tuj Se Mai Kis Tarah Azhar-e Tmna Karta
Lafz Soje To Maani Ne Bghwat Kar Di

Mai Tu Samjha Tha Ke Lot Aate Hai Jane Wale
Tu Ne ja Kar Tu Judai Meri Qismat Kar Di

Muj Ko Dushman Ke Iradon Pe Bi Pyar Ata Hai
Teri Ulfat Ne Mohabat Meri Aadat Kar Di

Poch Betha Hon Mai Tuj Se Tere Koche Ka Pta
Teri Halat Ne Kesi Teri Soorat Kar Di

Woh koi Aur Na Tha, Chand Khusk pattey They

Wo Koi Aur Na Tha, Chand Khusk Patay Thay
Shajar Se Toot Ke Jo Fasal-e Gul Pe Roye Thay

Abi Abi Tumhain Socha Tu Kuch Na Yaad Aya
Abi Abi Tu Ham Aik Dosre Se Bichre Thay

Tumhare Baad Chaman Par Jab Ik Nazar Dali
Kali Kali Mai Khazan Ke Chiragh Jalte Thay

Tmam Umar Wafa Ke Gunahgar Rahe
Ye Aur Baat Ke Ham Aadmi Tu Ache Thay

Shab-e Khamosh Ko Tanhai Ne Zuban De Di
Phar Gonjte Thay Dashat Sansnate Thay

Wo Aik Bar Mary Jin Ko Tha Hayat Se Pyar
Jo Zindagi Se Graizan Thay Roz Marte Thay

Naye Khayal Ab Aate Hai Dhal Ke Zahan Mein
Hmare Dil Mai Kabi Khait Lehlhate Thay

Ye Irtiqa Ka Chalan Hai K Har Zmane Mein
Purane Log Naye Admi Se Darte Thay

Nadeem Jo Bi Mulaqat Thi Adhori Thi
K Aik Chehray Ke Peche Hzar Chehray Thay

Kon Kehta Hai Ke Moat ayi tou Mar jaun Ga

Kon Kehta Hai Ke Moat Ayi Tu Mar Jaon Ga




Mein Tu Darya Hon Samandar Mein Utar Jaon Ga