Showing posts with label relation. Show all posts
Showing posts with label relation. Show all posts

Saturday, 19 July 2014

Apno'n main hain jo Shaad unhein Eid Mubaarak





apno'n main hain jo shaad unhein eid mubarak,

aur ham hain jisay yaad ussay eid mubarak,

apna tu kisi toor se kat ja'ay ka yeh din,

tum jis se milo aaj ussay eid mubarak,



Eid ka Chand falak par nazar aaya jis dam





Eid ka chand falak par nazar aaya jis dam,


meri palkon par sitaray they teri yaadon ke

Khushbu badal phool kaliyan shabnam tere naam






Khushbo,badal,phool kaliyan,shabnam tere naam,

 Dost Eid ki khushiyan hain sab tere naam,

jilmil karta neela pani,jugmug karte chand taray,

raat ke taray,kirnain,chanda,ponam tere naam

iss Eid per jo mil na sake hum tou kya hua






iss eid par ju mil na sakay ham tu kya huwa,


jazbon main ho khaloos tu eid'ein hazaar hain

naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai



IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com

Naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai,



woh khush naseeb hain hoob un ki eid hoti hai,




Rahe gi be kali dil mein tou Bhaari Eid ho gi


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com



Rahe gi be-kali dil main tu bhari Eid ho gi,


milo gay tum nahin tu kiya hamari Eid ho gi




Friday, 18 July 2014

Gar yaad tum ko na rahe apna janam Din


gar yaad tum ko na rahe apna janam din,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,

Main kabhi na bhuloonga apne yaarka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din, Aapko zaroor mera yeh msg.

milega, Jispe likha hoga ”mubarak ho aapko aapka janamdin "

Tumhe jab kabbhi mile fursat mere dil se bhooj utaar do


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhooj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
...
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
...
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Sha'oor e May Ubal para, Aqal pe Phir Khumar Hai

( Poet: Razab Tabraiz )  
 

Shaoor e may ubal para aqal pe phir khumar hai




Sha'oOr e May Ubal Para, Aqal pe Phir Khumar hai ...
Ghazal ki iBtda kro, Fiza bhi Sazgaar hai
...
GulOn k Kafan k liye, KafoOr kOn laey ga
...
K BaghBan to Mar Chuka, Bahaar bhi Tyar hai
...
Iman o Dil kisi Tarah, Jo ho sake Bcha rakho
...
Qatil Bala ka Tez Tar ! Qazaq hai, Ayaar hai
...
Afsanvi Romaan me, Husan ne Hosh se kaha
...
JunoOn se Hath khench le, JunoOn to Ganwaar hai
...
Haya k Sung laalGi, aZal se ik Misaal  hai
...
K jese Geet hai Jahan, Wahin kahin Sitaar hai
...
Wo Jaa Chuka To apne Ghar, Main Dhundta he reh gya
...
Kahan kahan SakoOt hai Kahan Kahan Pukaar hai
...
Zamin hi Sada yahan ! Falak k Aib kyu Bhare
...
To Chand ko Sazaen do, Jo Jal me kuch Jawaar hai
...
Zindgi se Maut ko, Shehar ne Youn Mila Dia
...
Jnazah'Gah hai Jis taraf, Usi Taraf Bazar hai
...
Wo kehte kehte Aaj Phir, RAZAB se doOr ho gay
...
K ! Kaif Pesh Pesh hai, laHu me ik Sayyaar hai-

Wednesday, 16 July 2014

Ho Mubarak tujhe Shaadi ki pehli Yeh Raat

Ho Mubarak Tujhe Shadi Ki Pehli Yeh Raat

Dua Karo K Hum B Bhool Jain Teri Har Baat

Be Panah Hai Tum Se Hum Ko Pyar
 

Woh Kehta Tha Yeh Bar Bar

Ujaarh Gaya Woh Meri Zindagi
 

Woh Karte Karte Yehi Bat

Dil Nahin Lagta Ab Kahin Mera
 

Be Qabu Ho Gaye Hain Mere Jazbaat

Jab Se Gaye Ho Tum Ab To Din B Lagte Hain Raat
 

Tum Ne Chora Mera Hath

Moun Main Hi Reh Gai Meri Har Baat
 

Kyun Thama Tha Mera Hath

Jb Chor Ke Chalay Hi Jana Tha Mera Sath
 

Jate Jate Woh Bs Itna Hi Keh Gaya

Shayd Hamari Qismat Main Hi Nhe Hamara Sath
 

Suno Jaana Dua Kro K Hum B Bhool Jain Teri Har Baat

Ja Sanam Mubarak Ho Tujhe
 

Teri Shadi Ki Pehli Yeh Raat

Haq meri Mohabbat ka Adaa Kyun Nahi Karte

haq meri muhabbat ka ada kyun nahi karte
tum dard toh dete ho dawa kyun nahi karte
...
kyun behte ho khamosh si raah mein mere aagay
na roau mere marne ki dua kyun nahi karte
...
phoolon ki tarah jism hai .. pathar ki tarah dil
meri jaan tum mujhse waffa kyun nahi karte
...
aankhon ki adalat se .. barri kar toh diya hai
afsos meri jaan riha kyun nahi karte
...
tum dard toh dete ho dawa kyun nahi karte
haq meri muhabbat ka ada kyun nahi karte.

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam hone Do


abi suraj nahi doba zara c sham hony do
mein khud hi lout jaon ga mujhy nakam hony do

mujhy bad-nam karny k bahany dhondty ho q???
mein ho jaon ga bad-nam pehly naam hone do

abi mujh ko nahi karna etraf-e-shikast jana
mein sub taslin kr lun ga ye charcha aam hone do

meri hasti nahi anmol phir b bik nahi sakta
wafaen baich lena par zara neelam hone do

naye aghaz mein hi hosla q torr bethy ho???
jeet jao gy tum sub kuch zara anjam hone do…!!!

Tuesday, 15 July 2014

Eid k Roz bhi Majboor They Taqdeer Se hum

Eid k roz b majboor they taqdeer sy hum
 Ro parry mil k galy ap ke tasveer sy hum
 
 Mera jo kuch hai tera hai tery liye he to hai 
 Tu agar jan b mangy to tujhe dety hum,
 
 Hum ny kia kia na kiya piyar mein O mery sanam
 Phir b mehroom rahy teri wafaon sy hum
 
 Teri yadoon ny shama bana k jalaya mujh ko
 Parwano'n ke trah is agg mein jalty rahy hum
 
 TUM ne kaha tha lout aon ga ''EID py''
 EID ka din hai lout ao warna mar jain gy hum

Samne Manzil thi Or peeche Uss ki Awaaz

Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata

manzil ki b hasrat thi or us se muhabat b
ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhar jata

muddat ka safar b tha or brson ki shanasai
rukta to bikhar jata chlta to mar jata

Ajab Pagal Si Larki Hai

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

Larkiyan Bewafa Nahi Hoti

Larkiyan bewafa nhi hoti.

Wo to majburiyon min lipti hen

.Apne shiddat bhare khayalon min.

 Apne andar chupi aik aurat min.

Wo hamesha hi darti rehti hen.

 Na to jeeti hen, na to marti hen.

 Larkiyan bewafa nhi hoti.

 Par hamesha hi darti rehti hen.

 Apne reet or rawajon se.

 Ane wale naye azabon se.

 Zarurat min khile ghulabon se.

 Piyar karti hen or chupati hen.

 Larkiyan bewafa nhi hoti.

Kiyon k majburiyon min lipti hen

 Aur har lamha darti rehti hen.

 Apne piyar se, apne saye se

 Apne rishton se, dil ki dharkan se.

 Apni khwahish se, apni khushyon se.

Jab Gardishon mein jaam they

Jab gardishon mein jaam they,
Kitne haseen ayyam they

[Ayyam - Days, din]

Ham hi na ruswa the faqat,
wo bhi badnaam they.

[Faqat - Sirf, only]

Kehte hain kuch arsa hua,
Qaabey mein bhi asnaam they.

[Asnaam - Idols]

Anjaam ki kya sochtey,
Na-vaqif-e-anjaam they.

[Na-vaqif-e-anjaam - Anjaam se bekhabar]

Meine Uss Se Poocha Tha Kya Dhoop Mein Barish Hoti Hai

Jab Main ne Us Se Poocha Tha.
Kya Dhoop Mein Barish Hoti Hai.
Wo Hanste Hanste Rone Lagi.
Or Dhoop Mein Barish Hone Lagi.
Nazuk Si Kali Murjha C Gayi.
Or Ro Kar Mujh Se Kehne Lagi.
Tum Chor Na Jana O Sajan.
Dil Torr  Na Jana O Sajan.
Tum Kya Jano Dhoop Ki Barish ko.
Tum Kya Jano Hijir K Gham ko.
Jab Tum Door Thy Mujh Se O Sajan.
Mere Hath Ki Chori Aur Kangan.
Jab Geet Tumhare Gatey They.
Mujhe Yaad Boht Tum Aaty They.
Main Hanste Hanste Roti Thi.
Aur Dhoop Mn Barish Hoti Thi.

Monday, 14 July 2014

Abhi tum Ishq mat karna

Abhi tum ishq mat karna...!<
+
Abhi guriya se khelo tum...!<
+
Tumhari umar hi kya hy?...!<
+
Faqt satra'n baras ki ho...!<
+
Abhi masoom bachi ho...!<
+
Nahin malum abhi tum ko...!<
+
K jab yeh ishq hota hy...!<
+
To insan kitna rota hy...!<
+
Sitare toot jate hain...!<
+
Saharay choot jate hain...!<
+
Abhi tum ne nahin dekha...!<
+
K jab sathi bicharte hain...!<
+
To kitna dard milta hy...!<
+
K har furqat K mousam main...!<
+
Hazaron ghum ubharte hain...!<
+
Hazaron zakhm khulte hain...!<
+
Suno larki...!<
+
'*'Meri Mano'*'...!<
+
Parhai par tawajo do...!<
+
kitabon main gulabon ko...!<
+
Kabhi bhule se mat rakhna...!<
+
'*'
Kitabain jab B kholo gi...!<
+
Yeh kanton ki tarhan dil main...!<
+
Chubhain gay, khoon bahayen gay...!<
+
Tumhain pehron satayen ge...!<
+
Kisi ko khat nahin likhna...!<
+
Likhai pakri jati hy...!<
+
Bari ruswai hoti hy...!<
+
Kisi ko phone mat karna...!<
+
Sadayen dil dukhati hain...!<
+
Wo awazain satati hain...!<
+
Meri nazmain nahin parhna...!<
+
Yeh mehshar utha dein gi...!<
+
Tumhain pagal bana dein gi...!<
+
Suno larki...!<
+
'+'Meri Mano'+'...!<
+
Apni taqdir se tum
khul K mat larna...!<
+
Abhi guriya se khelo tum...!<
+
Abhi tum ishq mat karna...!<
+

Abhi tum sa tha koi Rubaru

Abhi tum sa tha koi ru'bru, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Bari ras bhri thi wo guftgu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Wohi mast ankhon ki mastiyan, wohi chand chehre ki chandni...!<
+
Wohi arz-e-hal tha hu'bahu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Wohi hont the, wohi phool the, wohi be'misal udasiyan...!<
+
Wohi khawab tha wohi aarzu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Wohi aarzu-e-wisal thi, jo jaan shbon ki misal thi...!<
+
Wohi dil'kshi wohi rng-o-bu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<