Showing posts with label Bahadur Shah Zafar. Show all posts
Showing posts with label Bahadur Shah Zafar. Show all posts

Monday, 4 August 2014

Umar Taweel Mang Ke Laye Thay Char Din

Umar Taweel Mang Ke Laye Thay Char Din

Do Aarzo Main Kat Gai Do Intezaar Main

Kaho In Hasratoon Se Kahin Aur Ja Basin

Itni Jaga Nahi Dil-e Dagdar Main

Kitna Hai Badnaseeb Zafar Dafan Ke Liye

Do Gaz Zameen Bi Na Mili Koye Yar Main

( Bahadur Shah Zafar )

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Skay Main Wo Aik Musht-e Ghubar Hoon


Mera Rang Rop Bigar Gya, Mera Yar Muj Se Bichar Gaya
Jo Chaman Khazan Se Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasal-e Bahar Hoon


Na To Main Kisi Ka Habib Hon,Jo Jur Gya Wo Dyar Hoon
Pye Fatih Koi Aye Kun, Koi Char Phol Charhaye Kun


Koi Aa Ke Shama Jalaye Kun Main Wo Be Kasi Ka Mazar Hoon
Main Nahin Hoon Nagma-e Janfran, Muje Sun Ke Koi Kare Ga Kiya
Main Baray Brog Ki Hoon Sada Main Bare Dukhi Ki Pukaar Hoon


( Bahadur Shah Zafar )

Utha De Parda Nahi Parda Main Utha Doon Ga

Utha De Parda Nahi Parda Main Utha Doon GaTaish Se Dil Ki Abi Arsh Tak Hila Doon Ga

Na Hota Ishq Ka Maikash Agar Khabar Hoti
Ke Aik Jam Main Dono Jahan Bhla Doon Ga


Jo Pocha Main Ne Lab Zakhm Tu Kahe Ga Kya
Kaha Ke Khanjar Qatal Ku Main Dua Doon Ga


Ye De Kay Dam Muje Laya Tha Khench Josh Zahoor
Ke Chal Jahan Ka Tmasha Tuje Dikha Doon Ga


Na Poch Muje Se Zafar Tu Meri Haqeqat Haal
Agar Kahon Ga Abi Tuj Ku Main Rula Doon Ga


( Bahadur Shah Zafar )

Wo Be Hijaab Jo Pee Ke Kal Sharab Aya

Wo Be Hijaab Jo Pee Ke Kal Sharab AyaAgarcha Mast Tha Main, Par Muje Hijab Aya


Idhar Kyal Mere Dil Main Zulf Ka Guzra
Udhar Wo Khata Hoa Dil Mai Pecho Tab Aya


Khyal Kis Ka Smaya Hai Deeda-o Dil Main
Na Dil Ko Chain Muje Aur Na Shab Ku Khawab Aya

( Bahadur Shah Zafar )

Baat Karni Mushkil Kabi Aesi Tu Na Thi

Baat Karni Mushkil Kabi Aesi Tu Na ThiJesi Ab Hai Teri Mehfil Kabi Aesi Tu Na Thi


Le Gya Cheen K Kon Aaj Tera Sabr o Qrar
Be Qarai Tuje Ae Dil Kabi Aesi Tu Na Thi


Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu
Ke Tabiat Meri Mayal Kabi Aesi Tu Na Thi


Kya Sbab Tu Jo Bigarta hai Zafar Se Har Bar
Kho Tri Hoor Shmail Kabi Aesi Tu Na Thi

( Bahadur Shah Zafar )

Lagta Nahi Je Mera Ujra Dyar Main

Lagta Nahi Je Mera Ujra Dyar Main

Kis Ki Bni Hai Aalm-e Na Paydar Main



Bulbul Ko Pasban Se Na Sayad Se Gila
Qismat Mai Qaid Thi Lakhi Fasl-e Bhar Ne


Keh do In Hasraton Se Khain Aur Ja Bsain
Itni Jga Kahan Hai Dil-e Dagh Dar Main


Ik Shakh Gul Pe Beth Ke Bulbul Hai Shadma
Kantay Bicha Diye Hain Dil-e Lala Zar Main


Umar Draz Mang Ke Laye Thay Char Din
Do Aarzo Main Kat Gaye Do Intezar Main


Din Zindagi K Khatam Hoye Sham Ho Gayi
Phela Ke Paon Soyen Gai Kunje Mazar Main


Kitna Hai Bad Nseeb Zafar Dfan Ke Liye
Do Gaz Zmeen Bi Mil Na Ski Koye Yar Mai

( Bahadur Shah Zafar )

Tum Ne Kya Na Yaad Kabi Bhool Kar Hamain

Tum Ne Kya Na Yaad Kabi Bhool Kar Hamain





Ham Ne Tumhari Yaad Mein Sab Kuch Bhula Dya

( Bahadur Shah Zafar )