Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts
Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts

Thursday, 31 July 2014

Sirf Ehsaas e Nidamat Ik Sajda Or Chasham tar

Sirf ehsaas-e-nidamat ik sajda or chasham tar



Ay khuda kitna asaan hai manana tujh ko

Na koi Gham Khazan ka hai Na Hai Khawahish Baharon ki

Na koi gham khazan ka hai na hai khwahish baharon ki



Hamary sath hai amjad kisi ki yad ka mosam

Tere Jamal Se Aankhein Haseen Hain Meri

Tere jamal se ankhain haseen hain meri



Tere khayal se dil main chiragh jalte hain

Tu Ghabar e Safar Main Khazan ki Sada

Tu ghabar-e safar main khazan ki sada


Tu samandar hai main sahlon ki hawa


Main ne sari khudai main tujh ko chuna


Tu samandar hai main sahilon ki hawa

Apni Gali Mein Apna hi Ghar Doondtey Hain Log

Apni gali main apna hi ghar dhondte hain log



Amjad ye kon shehr ka naqsha badal gaya

Bahot Nazdeek Ho Kar Bi Woh Itna Door Hai Mujh Se

Bahut Nazdeek Ho Kar Bi Wo Itna Door Hai Mujh Se



Ishara Ho Nahi Sakta Pukara Ja Nahi Sakta

Chehrey Pe mere Zulf ko Phelao kisi Din

Chehray Pe  Mere Zulf Ko Phlao Kisi DinKya Roz Garjte Ho, Baras Jao Kisi Din


Razon Ki Tarah Husn Ki Barish Main Naha LoBadal Ki Tarah Jhoom Ke Ghir Aao Kisi Din


Khusbo Ki Tarah Guzro Meray Dil Ki Gali SePHolon Ki Tarah Muj Pe Bikhar Jao Kisi Din


Guzrain Jo Mere Ghar Se Tu Ruk Jaen SitareIs Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kis Din


Main Apni Har Ik Sans Usi Raat Ko De DoonSar Rakh Ke Mere Senay Pe So Jao Kisi Din

Iss Qadar Pyaar Se Ae Jaan e Jahan Rakha Hai

Is Qadar Pyar Se Ae Jaan-e Jahan Rakha Hai


Dil Ke Ruksar Pe Iss Waqt Teri Yaad Ne Hath


Yun Guma Hota Hai Garche Hai Abi Subah Firaq


Dhal Gya Hjar Ka Din Aa Bi Gyi Wasal Ki Raat

Meri Ratein Teri Yaadon Se Saji Rehti Hain

Meri Ratain Teri Yaadon Se saji Rehti Hain


Meri Saansain Teri Khushbu Se Basi Rehti Hain


Meri Aankhon Mai Tera Sapna Sja Rehta Hai


Haan Mere Dil Main Tera Aks Basa Rehta Hai


It Tarah Mere Dil Ke Bahut Pass Ho Tum


Jis Tarah Paas Hi Sheh Rag Ke Khuda Rehta Hai


Tum Ko Malom Bhi Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho


Mere Aangan Mai Lage Phol Gwahi Dain Gay


Mai Ne Arse Se Kisi Phol Ko Dekha Bi Nahi


Tuj Ko Socha Hai Tu Phir Tuj Ko Hi Socha Hai Faqat


Tere Swa Ksi Aur Ko Socha Bi Nahi


Tum Ko Maloom Bi Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho

Jo Baat Nahi Karte

Jo Baat Nahi Karte


Un Bolte Rangon Mai


Main Ne Tumhain Socha Hai


Jo Dil Se Guzarte Hain


Un Ajnabi Raston Mai


Mai Ne Tumhain Dekha Hai


Kehne K Liye Tum Se


Batain Tu Bahot Si Hain


Alfaz Nahi Milte


Jo Meri Nazar Main Hain


Is Shehr K Baghon Mai


Wo Phool Nahi Khilte


Main Ne Tumhain Jana Hai


Azhar K Rishton Se


Jis Tarah Koi Banda


Dharti Pe Nazar Dale


Ik Bar Khuda Ho Ke


( Poet: Amjad Islam Amjad )

Tay Kesi Sadyon ki Pyas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna

Tay Kesi Ki Sadyon Ki Pyas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna


Bari Dil Ruba Hai Ye Sari Khani, Zara Phir Se Kehna


Kahan Se Chala Tha Judai Ka Saya, Nahi Dekh Paya


Ke Raste Main Aanson Ki Rwani, Zara Phir Se Kehna


Hawa Ye Khabar Tu Sunati Rahe Aur Main Sunta Rhon


Badalne Ko Hai Ab Ye Mosam Khzani, Zara Phir Se Kehna


Mukr Jane Wala Kabi Zindagi Mai Khushi Phir Na Paye


Yunhi Khatam Kar Lain, Chalo Ye Khani, Zara Phir Se Kehna


Smay Ke Samandar Kaha Tu Ne Jo Bi Suna Par Na Samjhe


Jawani Ki Nadi Mai Tha Teez Pani, Zara Phir Se Kehna

Mohabbat Aesa Darya Hai

Mohabat Aesa Darya Hai


K Barish Roth Bi Jaye


Tu Pani Kam Nahi Hota


( Poet: Amjad Islam Amjad )

Bus tum muje Achi Lagti ho

Bas Tum Muje Achi Lagti Ho


Tum Itni Sundar Ho K Nahi


Tumhain Ik Nazar Jo Dekhe Wo


Sudh Budh Bhole Madhosh Rahe


Bas Tum Muje Achi Lagti Ho


Tum Hans Do Tu Mosam Badlain


Tu Jago Tu Dunya Jage


Jilmal Jilmal Manzar Hon Sab


Aur Na Soje Kuch Aage


Bas Tum Ko Dekhain, Dekhte Reh Jayen


Ma’alom Nahi Tum Itni Pyar Ho Ke Nahi


Itni Sundar Ho K Nahi


Bas Tum Muje Achi Lagti Ho

Chand ke Sath Kye Dard Purane Nikle

Chand Ke Sath Kye Dard Purane Nikle




Kitne Gham They Jo Teray Gham Ke Bahane Nikle

Woh jo Geet Tum Ne Suna Nahi

Wo Je Geet Tum Ne Suna Nahi


Meri Umar Bhar Ka Riaz Tha


Mere Dard Ki Thi Dastan


Jisay Tum Hansi Mein Ura Gaye