( Poet: Razab Tabraiz )
Apni Meyad e gHam me, Main Jung e Saleeb Tha
Jo Bamurad Hunar tha, Tera Naseeb tha
Shehnaiyon me Goonjti thi, Qatal ki Rasm
Qatil b aik Shah tha, Rag se Qarib tha
Uzar ka iZraeel pe Harchand Asar Nahi
Malmal ka Nok e Khaar pe, Manzar Ajeeb tha
Charagari bhi Asar me 2, 4 Baras hai
LuQman bhi to Mar gya, jo ik Tabeeb Tha
100 Chand Raaten le gya, kal ShaB ka Rat'jaga
Mehfil Thi, Zafraan Tha, Mera Habeeb tha
Khamosh Rida Oarrh lee, Nadim Zameer Ne
Bus Nara e Takbeer tha, jab Dil Khateeb Tha
Mera Hisab le lia, To Khud bhi Ro Para
Wo Hasb e Haal hogya, jo Khud Haseeb tha
Dhairon Duaen de k Bhi Takka Na Mil Ska
Faqeer Roz e Eid bhi, Kitna Ghareeb Tha
FirdOs me bhi Shola e Hasad Nahi Bujha
Sardar Wahan Sathiyon ka Khud Raqeeb tha
RAZAB Bta ! Dilon ko kese lOot le gya
Jo Chor tha, Na Thagg Tha, Na koi Naqeeb Tha.