Showing posts with label Milan. Show all posts
Showing posts with label Milan. Show all posts

Friday, 18 July 2014

Ashaar mere yoon tou Zamane k liye hain


ashar mere yu to zamane ke liye hai,
***
kuch shear fakat unko sunane ke liye hai,
***
ab ye bhi nahi thik hardard mitade,
***
kuch dard kaleje se lagane ke liye hai..
***

Jugnu ko Qaid kar k Muskaraya na karo


Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

...

Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?.

Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )



ulfat mein Mujh mein Yaar mein Bechain kon hai


Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai
'
Teeno k is Shumar me, Bechain kOn hai
'
Baad e Saba ne Ghunche se, Sargoshi me kaha
'
Kali me, Gul me, Khaar me, Bechain kOn hai
'
In Aatishi SholOn se kai Dil Sulag uThe
'
Tu hi Bta, Rukhsaar me Bechain kOn hai
'
Gahak to Sare Raat hi Khush kar diye Gay
'
Phir aur ab Bazaar me, Bechain kOn hai
'
Dil me liye An'Dekhe kisi Weham ka Qyas
'
Doli me, Ya Kahaar me, Bechain kOn hai
'
Kis k liye Saza aBhi Khatam Nahi hui
'
Apne hi inTzar me, Bechain kOn hai
'
Saqi bhi Aaj Sharm khaa k, Puch rha hai
'
Sharab k Khumar me, Bechain kOn hai
'
Ba'juz KHUDA ! kisi k bhi Guman me kahan
'
Khinchi hui Muhaar me Bechain kOn hai  
'
Wo Khud b Nahi Janta k Uski Chah me
'
Do aik me, Hazaar me, Bechain kOn hai
'
Majburi e RAZAB hai, Ya ye Koi Marz hai
'
MajboOr me Lachaar me, Bechain kOn hai