Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Tuesday, 29 July 2014

Usy Kehna K Loat aao Suna Hai Eid aai Hai

Usy Kehna K Loat Aoo Suna Hai Eid Aai Hai

Aik Bar To Aa K Mill Jao Suna Hai Eid Aai Hai

Usy Khna Bin Tery Boht Eiden Guzari Han

Is Bar To Milny ajao Suna Hai Eid Aai Hai

Usy Khna Judai Sy Muhabbat Kam Nahe Hoti

Ye Donia Ko Batla Jao Suna Hai Eid Aai Hai

Usy Khna K chaHat Ka BhaRam Na Totny Daina

Tum Pal Do Pal He ajao Suna Hai Eid Aai Hai

Usy Kehna Tanha Hai Koi Eid K din B

Ye Tanhai Mitta Jao Suna Hai Eid Aai Hai…

Monday, 28 July 2014

Liptaa hai mere Dil se kisi Raaz ki Maanind


Liptta hai mere dil se kisi raaz ki maanind,




Woh shakhss jis ko mera hona bhi nahin hai..

Alfaaz Giraa dete hain jazbaat ki Qeemat


Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat,



Har baat ko alfaaz mein tola na karo..

Wednesday, 23 July 2014

Yeh Pehle Hijar ka Qissa Hai





Ye Pehly Hijar ka Qissa Hai


Ye Aaj k Din ki Bat Nhi"


Kuch Umer b Thi Dewano C


Kuch Chaal b Thi Mastano C"


Hathon Me Phol Sajaty Thy


Saj Dhaj kar Parhny Jaty Thy"


Kab Itny Sedhy Sadhy thy 


Us Waqt To hum Shehzady thy"


Phr ek Chehra Bhaa sa Gaya


Nazdeek wo Dil k Aa Sa Gaya"


Phr Wo Tha or Baten uski


Din Sab usky Raaten Uski"


Phr Aisa Bichra Mila Nhi


Is Dil ka Phol phr Khila Nhi"


Phr Us k Bad Jo Log Mily


Is Dil Ko Utny Rog Mily"


Har Saans Usi k Nam Rahi


Har Sham Usi ki Sham Rahi"


Ye Pehly Hijar Ka Qissa Hai


Jo Aaj b Hum Py Taari Hai"


Ye Hijr Abi Tak Jari hy


Ye Hijr Abi Tak Jari Hai..!

Saturday, 19 July 2014

Apno'n main hain jo Shaad unhein Eid Mubaarak





apno'n main hain jo shaad unhein eid mubarak,

aur ham hain jisay yaad ussay eid mubarak,

apna tu kisi toor se kat ja'ay ka yeh din,

tum jis se milo aaj ussay eid mubarak,



Eid ka Chand falak par nazar aaya jis dam





Eid ka chand falak par nazar aaya jis dam,


meri palkon par sitaray they teri yaadon ke

Khushbu badal phool kaliyan shabnam tere naam






Khushbo,badal,phool kaliyan,shabnam tere naam,

 Dost Eid ki khushiyan hain sab tere naam,

jilmil karta neela pani,jugmug karte chand taray,

raat ke taray,kirnain,chanda,ponam tere naam

iss Eid per jo mil na sake hum tou kya hua






iss eid par ju mil na sakay ham tu kya huwa,


jazbon main ho khaloos tu eid'ein hazaar hain

naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai



IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com

Naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai,



woh khush naseeb hain hoob un ki eid hoti hai,




Rahe gi be kali dil mein tou Bhaari Eid ho gi


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com



Rahe gi be-kali dil main tu bhari Eid ho gi,


milo gay tum nahin tu kiya hamari Eid ho gi




Friday, 18 July 2014

Khuda kaise karoon Shukriya iss Din ke Liye


Khuda kaise karoon shukriya is din ke liye
Jis din tumhe dharti pe bheja hamare liye

Na jaane kyonmain intezaar kar raha tha
Shayad janamdin hai tumhara is liye

Meri har ek dua hai teri lambi umar ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis ke liye…
***
Happy BirthDay

Kay Tere Janam Din par


Kay Teray Janam Din par
Khuda Paak!
...
Tujhay who sub kuch Ata karay
Jis ki Tammanna Teray Dil nayKi,
...
Har who Khuahish jo teray labon par
Machalti ho
...
Poori Ho!
...
Aur teri yeh Roshan Ankhain Sada Chamkain
...
Teri MAsoom muskurahat
Sada teray labon ka Mehwar ho
...
Khushiyun say tera daman Hameesha Bhara rahay
Aur Khuda Paak!
..
Teri Umer Daraz Karain

Gar yaad tum ko na rahe apna janam Din


gar yaad tum ko na rahe apna janam din,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,

Main kabhi na bhuloonga apne yaarka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din, Aapko zaroor mera yeh msg.

milega, Jispe likha hoga ”mubarak ho aapko aapka janamdin "

Hum un se judaa ho gaye



Hum Unse Juda Ho Gye,

Aa gaye wo mere janaze pe to sab wade wafa ho gaye,

Jhuk k unhone meri kabr se kaha,

Aap to sach mein humse khafa ho gaye

Ashaar mere yoon tou Zamane k liye hain


ashar mere yu to zamane ke liye hai,
***
kuch shear fakat unko sunane ke liye hai,
***
ab ye bhi nahi thik hardard mitade,
***
kuch dard kaleje se lagane ke liye hai..
***

Tumko hum Dil mein Basa lenge tum aao tau sahi


Tumko hum dil mein basa lenge tum aao tau sahi..

Sari duniya se chupa lenge gein tum aao tau sahi..

Ek wadakaro ab humse na bichro ge kabhi..

Naaz hum saray utha lenge tum aao tau sahi..

Ikhtilaf bhi mit jayen gein rafta rafta..

Jis trha hoga nibha lenge tum aao tau sahi..

Be wafa bhi ho sitamgar bhi..jafa pesha bhi..

Hum khuda tumko bana lenge tum aao tau sahi..

Yu tu har simt nazar uthatay hi tareeki hai..

Pyarr ke deep jalaa lenge tum aao tau sahi..

Dil ki veerano se ghubar k na moo ko morron..

Bazm yeh phr sa saja lenge..tum aao tau sahi....!

Jugnu ko Qaid kar k Muskaraya na karo


Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

...

Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?.

Chota Sa ik Dreecha ho

jise Pyaar mohabat se sincha ho
Intikhaab-e-Sukhan.blogspot.com
 
Chota sa ik dreecha ho,
jise pyaar mohabat se sincha ho
...
kisi ki nazar na lage use use aisi lakeer se kheencha ho,
mukhtasir se is dreeche me beshumar khushian ho
...
khushio'n k rang aise ho
jo kabhi phike na par sake
...
chahte aisi ho daerpa jo hamasha deti rahe sada
ye pyar mohabat ulfat chahat ataa kar de sab ko aye khuda
...
mil kar bana le sab koi aisa gehwara
jis me rahe mohabat sada bahar

Wednesday, 16 July 2014

Ye Roz o Shab K Silsilay, Draz se Draz Tar By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )


Teri Nazar k Faslay, Draz Se Draz tar



Ye Roz o ShaB k Silsilay, Draz se Draz Tar Teri Nazar k Faslay, Draz se Draz tar

Bichar Gaye Ya Mil Gaye, k Mil k Phir Bichar Gaye

FurqatOn k Marhalay, Draz se Draz tar

Youn Nhi, Main Wo Nhi, K aur ki Bhi mOh Nhi

WzahtOn k Mantqay, Draz se Draz Tar

PhoOt PhoOt PhoOtna, Din Charhay hi loOtna

Husan k ye Walwlay, Draz se Draz Tar

Pewand Bray Aziz tar, Daghon se Skht Dushmni

Aflaas k ye Tantanay, Draz se Draz tar

Wo But Nhi Khuda Nhi, Bashar se bhi Juda Nahi

Iman k Waswasay yahan, Draz se Draz Tar

Khyal o khwab gOondhna Adab k imTzaj me

Bekaar k hen MashGlay, Draz se Draz Tar

Sajan ka
Zikar Cherna, Saheliyon k Rubaru

Phir Be'Jhijhak se Qehqahay, Draz se Draz Tar

Paala jo inko Shoq se, kuch Kaam bhi to lijiYe

Kaali latton k Azdahay, Draz se Draz Tar

Ye Parhte Parhte gHaZaL ko, laPak k kyu Bharak Uthay

GaalOn k Surkh Atishay, Draz se Draz Tar.

Zakham e Gunah Chat'ti hai Jaan in Dino By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz ) 



Ansu hi aB ho gay Pehchan in Dino



Zakham e Gunah Chat'ti hai Jaan in Dino
Ansu hi aB to ho gay Pehchan in Dino

Doshiza Zindgi se Dil Uchaat ho Chala
Hai mauT ki Hasina se Peman in Dino

Sung khate khate Mar gya Ashufta Admi
Zinda hai mujh me ik Naya inSan in Dino

Itne iman laya hun Main Baat Baat par
Sahib e iman hogya, Be iman in Dino

Dukan e iShq bhi Na Mujhe Raas aa saki
Nafay se Brhta jata hai Nuqsan in Dino

Neele Zehar se likhne ka hai Shoq aajkal
Ghazal me Chashni ka hai Fuqdan in Dino

Taeyb Hua ! to Husn ne Wo Gur Sikha diye
Lab pe Lahol, Dil me hai Subhan in Dino

Majnu ki Jaan Chori to Ranjhay ko Jaa lia
Dars e Fana ka Dil pe hai Rujhaan in Dino

Chup Dekh kar sub Puchte hen Din me Baarha
RAZAB ! Hai kis Taraf Tera Dhyan in Dino  -