Showing posts with label Ibn E Insha. Show all posts
Showing posts with label Ibn E Insha. Show all posts

Saturday, 9 August 2014

Hum Log Tu Zulmat Mein Jeene K Bi Aadi Hain

Hum Log Tu Zulmat Mein Jene K Bi Aadi Hain

Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain

Ik Yaad Pey Aahon Ka Tufan Umadta Hoa Aata Hai

Ik Zikar Pey Ab Dil Ko Thama Nahi Jata Hai

Ik Naam Pey Aankhon Mein Aansoo Chale Aate Hain

Ji Ham Ko Jilata Hai Ham Ji Ko Jilaty Hain

Ham Log Tu Mudat Se Awar O Heran They

Us Shakhs Ke Geso Kab Is Tor Preshan They

Ye Shakhs Ae Dil Mgar Pardes Suhare Ga

Ye Dard Hmain Jane Kis Ghat Utare Ga

Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko

Han Ja Ke Mubarak Do Phir Najad Mein Yaaron Ko

Poet: Ibn e Insha

Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino


Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino

Ik Mele Mai Pohncha Hmakta Hoa

Ji Machlata Tha Ik Ik Shay Par Mgar

Jeeb Khai Thi Kuch Mol Le Na Saka

Lot Aya Liye Hasratain Sainkron

Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino

Khair Mehromaio Ke Wo Din Tu Gaye

Aaj Mela Lga Hai Usi Shaan Se

Aaj Chahon Tu Ik Ik Dukaan Mol Loon

Na Rasai Ka Ab Ji Mai Dharka Kahan

Par Wo Chota Sa, Alhar Sa Larka Kahan

Wada Tu Kiya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey

Wada Tu Kiya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey

Aefa Jo Krain Gey Koi Acha Na Kren Gey


Logo Se Chupa Le Gey Jo Ahwal Hai G Ka


Apne Se Kisi Baat Mai Dhoka Na Kren Gey


Ae Dil Tere Farmano Ko Tala Hai Na Talain


Un Ki Bi Tere Samne Parwa Na Kren Gey


Is Rah Ko Ham Chor Ke Jayen Kisi Janab


Azarda Na Ho… Ham Kabi Aesa Na Kren Gey


Likhain Gey Usi That Se Nazmain, Kabi Ghazalain


Han Aaj Se Logo Ko Dikhaya Na Kren Gey

Farz Karo Ham Ahle Wafa Hon Farz Karo Dewane Hon

Farz Karo Ham Ahle Wafa Hon Farz Karo Dewane Hon

Farz Karo Ye Dono Batain Jhoti Hon Afsane Hon

Farz Karo Ye Ji Ki Bpta, Ji Se Jor Sunai Ho

Farz Karo Abi Aur Ho Itni, Adhi Ham Ne Chupai Ho

Farz Karo Tumhain Khush Karne Ke Dhonde Ham Ne Bhane Hon

Farz Karo Ye Nain Tumhare Sach Much K Mekhane Hon

Farz Karo Ye Rog Ho Jhota, Jhot Pet Hmari Ho

Farz Karo Is Pet K Rog Mai Sans Bi Ham Par Bhar Ho

Farz Karo Ye Jog Bjog Ka Ham Ne Dhong Rchaya Ho

Farz Karo Bas Yehi Haqeqat Baqi Sab Kuch Maya Ho

Shab Beti Chand Bi Doob Cahla Zanjir Pari Darwaze Pe


Shab Beti Chand Bi Dob Chla, Zanjir Pari Darwaze Pe


Kiun Dair Gaye Ghar Aye Ho, Sajni Se Karo Ge Bahana Kya


Jab Shehr Ke Log Na Rasta Dain, Kiun Ban Main Na Ja Bsram Krain?


Dewanon Ki Si Na Baat Kary Tu Aur Kare Dewana Kya?

Wo Sham Wo Rukhsar Ka Saman Yaad Rahe Ga

Wo Sham Wo Rukhsar Ka Saman Yaad Rahe Ga

Wo Shehr Wo Kocha Wo Makan Yaad Rahe Ga


Wo Tain K Ubrhi Thi Idhar Yaad Rahe Gi


Wo Dard Ka Utha Tha Yahan Yaad Rahe Ga

Jab Dhar Ke Gham Se Na Iman Mili Ham Logon Ne Ishq Ijad Kya

Jab Dhar Ke Gham Se Na Iman Mili, Ham Logon Ne Ishq Ijad Kya

Kabi Shehr Btan Main Khran Phire, Kabi Dashte Junon Abad Kya


Kabi Basty
an Ban, Kabi Koh-o Daman, Raha Kitne Dino Bi Ji Ka Chlan

Jahan Husn Mila whain Beth Rahe, Jahan Pyar Mila Wahan Sad Kya

Shab-e Mah Main Jahan Bi Ye Dard Utha, Kabi Beet Kahy Likhi Chand Ngar


Kabi Koh Se Ja Sar Phor Mary, Kabi Qais Ko Ja Ustad Kya


Yehi Ishq Bil-Aakhar Rog Bna, Keh Hai Chah K Sath Bjog Bna


Jisay Ban’na Tha Aish wo Sog Bna, Bra Man Ke Nagar Me Fisad Kya


Ab Qurbat o Suhbat-e Yaar Kahan, Lab-o Aarz-o Zulf-o Kinar Kahan


Ab Apna Bi Meer Sa Aalam Hai, Tuk Dekh Lya Je Shad Kya
By Ibn-e Insha

Phir Un Ki Gali Main Jaye Ga Phir Sahu Ka Sajda Kar Le Ga

Phir Un Ki Gali Main Jaye Ga, Phir Sahu Ka Sajda Kar Le Ga




Is Dil Par Barosa Kon Kare Har Roz Muslman Hota Hai

Sunday, 3 August 2014

Chal "insha" apne Ga'on mein,


Chal "insha" apne Ga'on mein,


Yahan Ujlay ujlay roop Boht,


Par asli kam' Behroop Boht

Us pairh k neechy kya rukna,

Jahan saya kam ho' dhoOp Boht

Chal "Insha" apne gaon mein,

Bethen gain sukh ki chhaon mein,

kyun teri Ankh sawali he,

Yahan har ik Bat nirRali he

Is dais Basera mat krna,

Yahan muflis hona gaali he

Chal Insha apne Gaon men,

Jahan sachey rishty yaron k,

Jahan waday pakay pyaron k,

Jahan sajda kare wafa, Paon mein.,

Chal "insha" apne gaon mein..

Tuesday, 15 July 2014

Zauf ata Hai Dil ko Magar thaam tou lo By Ibn E Insha

Zauf Aata Hai Dil Ko Thaam Toh Lo,
Boliyo Mat Magar Salam Toh Lo.

Kaun Kehta Hai Bolo, Mat Bolo,
Haath Se Mere Ek Jaam Toh Lo.

Inhi Baaton Pe Laut Aata Hoon Main,
Gaali Phir Deke Mera Naam Toh Lo.

Ek Nigaah Par Bike Hain "Insha" Aaj,
Muft Mein Moal Ek Ghulam Toh Lo.

Monday, 14 July 2014

Ae door nagar K bunjare By IBN-E-INSHA

Ae door nagar K bunjare..!<
<
Ghar chor K aisy jana tha..!<
<
Q preet ki raah dikhlai thi?..!<
<
Q pyar ka hath brhaya tha?..!<
<
Hy dunia k hungamo main..!<
<
Rangini B, ra'anai B..!<
<
Her cheez yahan ki pyari hy..!<
<
Mehrumi B, ruswai B..!<
<
Sb log yahan per kismat K..!<
<
Be'tor thapery sehty hain..!<
<
Per jeety hain aur jeene ki..!<
<
Ik aas se chimty rehty hain..!<
<
Go jane K ay Bhai yahan..!<
<
Hum jesy lakh bechary hon..!<
<
Wo log hi rukhsat hoty hain..!<
<
Jo log sb ko pyary hon..!<
<
Is jug ki raat andheri main..!<
<
Ik tara tha jo doob gaya..!<
<
Aur wa'ada sath nibhane ka..!<
<
Sb bhool bhula kar khoob gaya..!<
<
Wo sary thikany dhoond chuky..!<
<
Wo manzil manzil chor chuky..!<
<
Ab aas lgaye bethe hain..!<
<
Kab dastak ho aur tu aye..!<
<