Yeh Jo Raig-e-dasht-e-firaq Hai Yeh Ruke Agar
Yeh Ruke Agar To Nishaan Mile, Yeh Nishaan Mile K Jo Fasloon Kii Saleeb Hai Yeh Gaarii Hui Hai Kahaan Kahaan Mere Asman Se Kidhar Gayii Tere Iltefaat Ki Kehkashaan Mire Be_khabar, Mire Be Nishaan Yeh Ruke Agar To Pata Chale Main Thaa Kis Nagar Tuu Rahaa Kahaan K Zamaan O Makaan Ki Yeh Wusatain Tujhe Dekhne Ko Taras Gayein Voh Mere Nasiib Ki Baarishen Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayein Mere Chaar Suu Hai Ghubaar-e-jaan, Voh Fishaar-e-jaan, K Khabar Nahiin Mere Haath Ko Mire Haath Kii Mere Khwaab Se Tere Baam Tak Tare Rehguzar Ka To Zikr Kya Nahiin Zaufishan Tere Naam Tak Hain Dhuaan Dhuaan Mire Ustkhwaan Mere Aansuuon Men Bhuje Hue Mire Ustkhwaan Mire Naqsh Gar Mire Naqsh-e-jaan Isii Raig-e-dasht-e-firaaq Men Rahe Muntazir Tere Muntazir!!! Mere Khawab Jin Ke Fishaar Men Rahi Mere Haal Se Bekhabar Teri Rehguzar Tare Rehguzar Ke Jo Naqsh Hain Mire Haath Par Magar Is Balaa Ki Hai Tiirgi K Khabar Nahiin Mere Haath Ko Mere Haath Ki Voh Jo Chashm-e-shobadaa Saaz Thii, Woh Uthe Agar Mere Ustkhwaan Men Ho Roushni Ussi Ek Lamha-e-diid Men Teri Rehguzar!! Meri Teera Jaan Men Chamak Uthe Mere Khawab Se Tairay Baam Tak, Sabhii Manazron Men Damak Uthhe Usii Ek Pal Men Ho Jaavidaan Meri Arzoo K Hai Bekaraan Meri Zindagi K Hai Mukhtasar Yeh Jo Raig-e-dasht-e-firaq Hai, Yeh Ruke Agar Yeh Ruke Agar |
No comments:
Post a Comment