Woh janti thi magar phir bhi
Woh janti thi magar phir bhi
Woh janti thi
k wafaa ka ajar nhi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nhi hota
Woh janti thi
Muhabbat dukhon ka sehraa hai
Jahan seraab si khushiyan hain
Aur azaab se ghum
Jahan hai pyaas JUDAI ki betahasha magar
Millan ki barishein hoti hain jis dyar main kam
Woh janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Woh jis ko dil ka lahoo de k jagmagaya ho
Andheri rah k liye woh chirag mangti hai
Woh janti thi
Muhabbat woh reguzar hai jahan
Biche hain kaanch JUDAI k beshumaar magar
Brehna-pa hi inhein paar kerna perta hai
Ghumon ki dhoop main ab saibaan koi na ho
Kisi yaad ki chadar ko taan ker khud per
Tammam aahein daba ker guzarna perta hai
Woh janti thi
k wafaa ka ajar nhi hota
Mohabbat main sabar ka samar nhi hota
Hijar ki rah main hoti hai betahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nhi hota
Woh janti thi
phir bhi rog le bethi
Kisi k pyar main na jane kyun jog le bethi...!
No comments:
Post a Comment