Us Nay Mairay Seenay Pe Sir Rukh Ker Pocha
Us Nay Mairay Seenay Pe Sir Rukh Ker Pocha ..
janaa .. apnay jeewan ka wo lumha tu batao mujhko
jis kai badlay mil saktay hain sub he seetaray
daryaaon kai saray motti ..
sawan kee paihlee baraish kai saray qatray ..
ujlay chand kee sari kirnain ..
dhartee kai seenay say liptay sub he khazanay ..
saray mosam sub he duaien
pholon kee rangeen qabba-ein
patti patti pernay wali bheenee shabnum ..
is_may aazum
us nay mairay seenay pai sir rukh ker pocha

jiskai badlay sub kuch apna , sub kuch sub kuch
apna sub kuch dai saktay hooo
mainay us ka matha chomma or bola jub............
paihlee bar mairay seenay pai tumnay apna sir rukha tha .........

No comments:
Post a Comment