Sar-e-sham hi se aangan may meray tanhai brasti rehi

gham-e-firaaq key gehray abar se tanhai brasti rehi
Ghabra kar veerani-e-dil se anjuman-e-yaraan may ja bethay
kuch bhaut shanaasa chehroon se tanhai brasti rehi
Shab bhar chuntaa raha phool teri yaadon key gulistaan se
chaman key har laala-o-gul se teri yad ki shanasai brasti rehi
tujhe junoon tha jaanan pheli baarish may bheegney ka
terey binaa ab saawan may boond boond tanhai brasti rehi
mujhe yaad hai wo tera shajr taley ashk bahaana
lamhoon may qaid rooh-e-Qais ko rehaie trasti rehi

No comments:
Post a Comment