Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hainsirf aansu jahan insaan k kaam atay hain
unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam
pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain
zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath
un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain
hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain
hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain
qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak
teray dar se wohi be neel maraam aatay hain
munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha
jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain
hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari
yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain
chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel!
un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.
No comments:
Post a Comment