Monday, 18 August 2014

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga



Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga

woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga



to taye howa na, is gali k more tak to sath hain

per is gali k more tak bhi ik zamana aaye ga



udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili

magr ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga



jo log hijr ki musafaton main thak k so gaye

khyal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga



wo ajnabi to shehr chor kar kabhi ka jaa chuka

kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga



tu apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja

ye ehd e be-hunr hai kis ko mou'ajza dikhaye ga



sivaye us k apni teergi main aap jal utthain

Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga

No comments:

Post a Comment