Kaash main teray ban gosh mein bunda hota
Kaash main teray ban gosh mein bunda hota
raat ko bekhabri mein jo machal jata main
to teray kaan say chup chap nikal jata main
subh ko girtay tri zulfon say jab basi phool
meray kho janay pe hota tera dil kitna malool
too mujhay dhoodhti kis shaoq say ghabrahat mein
apnay mehkay howay bistar ki har salwat mein
jonhi kartin tri narm ungliyan mehsoos mujhay
milta phir is gosh ka gosha e manoos mujhay
kaan say too mujhay hargiz na utara karti
too kabhi meri judai na gawara karti
yon teri qurbat e rangeen kay nshay mein madhosh
umr bhar rehta mri jaan main tra halqa e gosh
kaash main teray ban gosh mein bunda hota
No comments:
Post a Comment