Wednesday, 30 July 2014

Pareshan hoon ke Meri Khaak Aakhir Dil Na Ban Jaye

Preshan Hon Ke Meri Khak Aakhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye

Na Kar Dain Muj Ko Majbor Nwa Fardos Mein Horain
Mra Soz Dron Phir Garmi Mehfil Na Ban Jaye

Kabi Chori Hoyi Manzil Bi Yaad Aati Hai Rahi Ko
Khatak Si Hai Jo Sene Mein Gham-e Manzil Na Ban Jaye

Bnaya Ishq Ne Darye Na Paida Karan Muj Ko
Ye Meri Negah Dari Mra Sahil Na Ban Jaye

Khain Is Aalm E Rang-o Bu Mein Bi Talab Meri
Wohi Afsana Danbala Mehmal Na Ban Jaye

Urooj-e-Adam E Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Tota Hua Tara Meh Kamal Na Ban Jaye

( Poet: Allama Iqbal )

No comments:

Post a Comment